be-KHayali mein yunhi bas ek irada kar liya
be-ḳhayālī meñ yūñhī bas ik irāda kar liyā
apne dil ke shauq ko had se ziyāda kar liyā
jānte the donoñ ham us ko nibhā sakte nahīñ
us ne va.ada kar liyā maiñ ne bhī va.ada kar liyā
ġhair se nafrat jo pā lī ḳharch ḳhud par ho ga.ī
jitne ham the ham ne ḳhud ko us se aadhā kar liyā
shaam ke rañgoñ meñ rakh kar saaf paanī kā gilās
āb-e-sāda ko harīf-e-rañg-e-bāda kar liyā
hijratoñ kā ḳhauf thā yā pur-kashish kohna maqām
kyā thā jis ko ham ne ḳhud dīvār-e-jāda kar liyā
ek aisā shaḳhs bantā jā rahā huuñ maiñ 'munīr'
jis ne ḳhud par band husn o jaam o baada kar liyā
be-KHayali mein yunhi bas ek irada kar liya
apne dil ke shauq ko had se ziyaada kar liya
jaante the donon hum us ko nibha sakte nahin
us ne wada kar liya main ne bhi wada kar liya
ghair se nafrat jo pa li KHarch KHud par ho gai
jitne hum the hum ne KHud ko us se aadha kar liya
sham ke rangon mein rakh kar saf pani ka gilas
aab-e-sada ko harif-e-rang-e-baada kar liya
hijraton ka KHauf tha ya pur-kashish kohna maqam
kya tha jis ko hum ne KHud diwar-e-jada kar liya
ek aisa shaKHs banta ja raha hun main 'munir'
jis ne KHud par band husn o jam o baada kar liya
- Book : chhe rangi darwaze (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.