sach to ye hai be-jagah rabt in dinon paida kiya
sach to ye hai be-jagah rabt in dinon paida kiya
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
sach to ye hai be-jagah rabt in dinoñ paidā kiyā
soch hai har dam yahī ham ko ki ham ne kyā kiyā
vo gayā uTh kar jidhar ko maiñ adhar hairān sā
us ke jaane par bhī kitnī der tak dekhā kiyā
merī aur us shoḳh kī sāhib-salāmat jo huī
sabr o tāqat ne kahā lo ham ne to mujrā kiyā
sair-e-gul kartā thā vo aur aah betābī se maiñ
har taraf gulshan meñ juuñ āb-e-ravāñ dauḌā kiyā
jab talak karte rahe mazkūra us kā mujh se log
jī meñ kuchh sochā kiyā maiñ aur dil dhaḌkā kiyā
dard-e-dil kahnā mirā shāyad ki us ne sun liyā
varna kyuuñ mujh ko dharātā hai bhalā achchhā kiyā
dam-ba-dam hasrat se dekhūñ kyuuñ na sū-e-charḳh maiñ
us ne auroñ kā kiyā us ko hameñ jis kā kiyā
dil mile par bhī milāp aisī jagah hote rahe
jo idhar taḌpā kiye ham vo udhar taḌpā kiyā
mil ga.e the ek baar us ke jo mere lab se lab
umr bhar hoñToñ pe apne maiñ zabāñ pherā kiyā
bas ki hai vo shohra-e-āfāq us ke vāste
ye dil-e-dīvāna kis kis shaḳhs se jhagḌā kiyā
sozish-e-dil kyā kahūñ maiñ jab talak jiitā rahā
ek añgārā sā pahlū meñ mire dahkā kiyā
ishq-bāzī meñ kahā 'jur.at' ko sab ne dekh kar
ye aziiz apnī hamesha jaan par khelā kiyā
sach to ye hai be-jagah rabt in dinon paida kiya
soch hai har dam yahi hum ko ki hum ne kya kiya
wo gaya uTh kar jidhar ko main adhar hairan sa
us ke jaane par bhi kitni der tak dekha kiya
meri aur us shoKH ki sahib-salamat jo hui
sabr o taqat ne kaha lo hum ne to mujra kiya
sair-e-gul karta tha wo aur aah betabi se main
har taraf gulshan mein jun aab-e-rawan dauDa kiya
jab talak karte rahe mazkura us ka mujh se log
ji mein kuchh socha kiya main aur dil dhaDka kiya
dard-e-dil kahna mera shayad ki us ne sun liya
warna kyun mujh ko dharaata hai bhala achchha kiya
dam-ba-dam hasrat se dekhun kyun na su-e-charKH main
us ne auron ka kiya us ko hamein jis ka kiya
dil mile par bhi milap aisi jagah hote rahe
jo idhar taDpa kiye hum wo udhar taDpa kiya
mil gae the ek bar us ke jo mere lab se lab
umr bhar honTon pe apne main zaban phera kiya
bas ki hai wo shohra-e-afaq us ke waste
ye dil-e-diwana kis kis shaKHs se jhagDa kiya
sozish-e-dil kya kahun main jab talak jita raha
ek angara sa pahlu mein mere dahka kiya
ishq-bazi mein kaha 'jurat' ko sab ne dekh kar
ye aziz apni hamesha jaan par khela kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.