sach hai ki wo bura tha har ek se laDa kiya
sach hai ki vo burā thā har ik se laḌā kiyā
lekin use zalīl kiyā ye burā kiyā
gul-dān meñ gulāb kī kaliyāñ mahak uThīñ
kursī ne us ko dekh ke āġhosh vā kiyā
ghar se chalā to chāñd mire saath ho liyā
phir sub.h tak vo mere barābar chalā kiyā
koThoñ pe muñh-añdhere sitāre utar paḌe
ban ke patañg maiñ bhī havā meñ uḌā kiyā
us se bichhaḌte vaqt maiñ royā thā ḳhūb-sā
ye baat yaad aa.ī to pahroñ hañsā kiyā
chhoḌo purāne qissoñ meñ kuchh bhī dharā nahīñ
aao tumheñ batā.eñ ki 'alvī' ne kyā kiyā
sach hai ki wo bura tha har ek se laDa kiya
lekin use zalil kiya ye bura kiya
gul-dan mein gulab ki kaliyan mahak uThin
kursi ne us ko dekh ke aaghosh wa kiya
ghar se chala to chand mere sath ho liya
phir subh tak wo mere barabar chala kiya
koThon pe munh-andhere sitare utar paDe
ban ke patang main bhi hawa mein uDa kiya
us se bichhaDte waqt main roya tha KHub-sa
ye baat yaad aai to pahron hansa kiya
chhoDo purane qisson mein kuchh bhi dhara nahin
aao tumhein bataen ki 'alwi' ne kya kiya
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 25)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.