sabr aata hai judai mein na KHwab aata hai
sabr aatā hai judā.ī meñ na ḳhvāb aatā hai
raat aatī hai ilāhī ki 'azāb aatā hai
be-qarārī dil-e-betāb kī ḳhālī to nahīñ
yā vo ḳhud aate haiñ yā ḳhat kā javāb aatā hai
muñh meñ vā'iz ke bhī bhar aatā hai paanī aksar
jab kabhī tazkira-e-jām-e-sharāb aatā hai
kis qayāmat kī ye aamad hai ḳhudā ḳhair kare
fitna-e-hashr bhī ham-rāh-e-rikāb aatā hai
riñd-e-mashrab koī 'beḳhud' sā na hogā vallāh
pī ke masjid hī meñ ye ḳhāna-ḳharāb aatā hai
sabr aata hai judai mein na KHwab aata hai
raat aati hai ilahi ki 'azab aata hai
be-qarari dil-e-betab ki KHali to nahin
ya wo KHud aate hain ya KHat ka jawab aata hai
munh mein wa'iz ke bhi bhar aata hai pani aksar
jab kabhi tazkira-e-jam-e-sharab aata hai
kis qayamat ki ye aamad hai KHuda KHair kare
fitna-e-hashr bhi ham-rah-e-rikab aata hai
rind-e-mashrab koi 'beKHud' sa na hoga wallah
pi ke masjid hi mein ye KHana-KHarab aata hai
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 175)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : ttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.