sabaq aisa paDha diya tu ne
sabaq aisā paḌhā diyā tū ne
dil se sab kuchh bhulā diyā tū ne
ham nikamme hue zamāne ke
kaam aisā sikhā diyā tū ne
kuchh ta'alluq rahā na duniyā se
shaġhl aisā batā diyā tū ne
kis ḳhushī kī ḳhabar sunā ke mujhe
ġham kā putlā banā diyā tū ne
kyā batā.ūñ ki kyā liyā maiñ ne
kyā kahūñ maiñ ki kyā diyā tū ne
be-talab jo milā milā mujh ko
be-ġharaz jo diyā diyā tū ne
umr-e-jāved ḳhizr ko baḳhshī
āb-e-haivāñ pilā diyā tū ne
nār-e-namrūd ko kiyā gulzār
dost ko yuuñ bachā diyā tū ne
dast-e-mūsā meñ faiz baḳhshish hai
nūr-o-lauh-o-asā diyā tū ne
sub.h mauj-e-nasīm-e-gulshan ko
nafas-e-jāñ-fazā diyā tū ne
shab-e-tīra meñ sham-e-raushan ko
nuur ḳhurshīd kā diyā tū ne
naġhma bulbul ko rañg-o-bū gul ko
dil-kash-o-ḳhushnumā diyā tū ne
kahīñ mushtāq se hijāb huā
kahīñ parda uThā diyā tū ne
thā mirā muñh na qābil-e-labbaik
kā'ba mujh ko dikhā diyā tū ne
jis qadar maiñ ne tujh se ḳhvāhish kī
us se mujh ko sivā diyā tū ne
rahbar-e-ḳhizr-o-hādī-e-ilyās
mujh ko vo rahnumā diyā tū ne
miT ga.e dil se naqsh-e-bātil sab
naqsha apnā jamā diyā tū ne
hai yahī rāh-e-manzil-e-maqsūd
ḳhuub raste lagā diyā tū ne
mujh gunahgār ko jo baḳhsh diyā
to jahannum ko kyā diyā tū ne
'dāġh' ko kaun dene vaalā thā
jo diyā ai ḳhudā diyā tū ne
sabaq aisa paDha diya tu ne
dil se sab kuchh bhula diya tu ne
hum nikamme hue zamane ke
kaam aisa sikha diya tu ne
kuchh ta'alluq raha na duniya se
shaghl aisa bata diya tu ne
kis KHushi ki KHabar suna ke mujhe
gham ka putla bana diya tu ne
kya bataun ki kya liya main ne
kya kahun main ki kya diya tu ne
be-talab jo mila mila mujh ko
be-gharaz jo diya diya tu ne
umr-e-jawed KHizr ko baKHshi
aab-e-haiwan pila diya tu ne
nar-e-namrud ko kiya gulzar
dost ko yun bacha diya tu ne
dast-e-musa mein faiz baKHshish hai
nur-o-lauh-o-asa diya tu ne
subh mauj-e-nasim-e-gulshan ko
nafas-e-jaan-faza diya tu ne
shab-e-tira mein sham-e-raushan ko
nur KHurshid ka diya tu ne
naghma bulbul ko rang-o-bu gul ko
dil-kash-o-KHushnuma diya tu ne
kahin mushtaq se hijab hua
kahin parda uTha diya tu ne
tha mera munh na qabil-e-labbaik
ka'ba mujh ko dikha diya tu ne
jis qadar main ne tujh se KHwahish ki
us se mujh ko siwa diya tu ne
rahbar-e-KHizr-o-hadi-e-ilyas
mujh ko wo rahnuma diya tu ne
miT gae dil se naqsh-e-baatil sab
naqsha apna jama diya tu ne
hai yahi rah-e-manzil-e-maqsud
KHub raste laga diya tu ne
mujh gunahgar ko jo baKHsh diya
to jahannum ko kya diya tu ne
'dagh' ko kaun dene wala tha
jo diya ai KHuda diya tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.