sab log liye sang-e-malamat nikal aae
sab log liye sañg-e-malāmat nikal aa.e
kis shahr meñ ham ahl-e-mohabbat nikal aa.e
ab dil kī tamannā hai to ai kaash yahī ho
aañsū kī jagah aañkh se hasrat nikal aa.e
har ghar kā diyā gul na karo tum ki na jaane
kis baam se ḳhurshīd-e-qayāmat nikal aa.e
jo darpai-e-pindār haiñ un qatl-gahoñ se
jaañ de ke bhī samjho ki salāmat nikal aa.e
ai ham-nafaso kuchh to kaho ahd-e-sitam kī
ik harf se mumkin hai hikāyat nikal aa.e
yaaro mujhe maslūb karo tum ki mire baad
shāyad ki tumhārā qad-o-qāmat nikal aa.e
sab log liye sang-e-malamat nikal aae
kis shahr mein hum ahl-e-mohabbat nikal aae
ab dil ki tamanna hai to ai kash yahi ho
aansu ki jagah aankh se hasrat nikal aae
har ghar ka diya gul na karo tum ki na jaane
kis baam se KHurshid-e-qayamat nikal aae
jo darpai-e-pindar hain un qatl-gahon se
jaan de ke bhi samjho ki salamat nikal aae
ai ham-nafaso kuchh to kaho ahd-e-sitam ki
ek harf se mumkin hai hikayat nikal aae
yaro mujhe maslub karo tum ki mere baad
shayad ki tumhaara qad-o-qamat nikal aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.