sab ko apne zehan se jhaTka KHud ko yaad kiya
sab ko apne zehan se jhaTkā ḳhud ko yaad kiyā
lekin aisā sab kuchh luT jaane ke ba.ad kiyā
us ko us kī apnī qurbat ne sarshār rakkhā
mujhe to shāyad mere hijr ne hī barbād kiyā
maiñ bhī ḳhālī ho kar apne ghar lauT aayā huuñ
us ne bhī ik vīrāne ko jā ābād kiyā
kis shafqat meñ guñdhe hue maulā maañ baap diye
kaisī pyārī rūhoñ ko merī aulād kiyā
ishq meñ 'anjum' le Duubī hai thoḌī sī tāḳhīr
janmoñ pahle jo vājib thā vo mā-bād kiyā
sab ko apne zehan se jhaTka KHud ko yaad kiya
lekin aisa sab kuchh luT jaane ke baad kiya
us ko us ki apni qurbat ne sarshaar rakkha
mujhe to shayad mere hijr ne hi barbaad kiya
main bhi KHali ho kar apne ghar lauT aaya hun
us ne bhi ek virane ko ja aabaad kiya
kis shafqat mein gundhe hue maula man bap diye
kaisi pyari ruhon ko meri aulad kiya
ishq mein 'anjum' le Dubi hai thoDi si taKHir
janmon pahle jo wajib tha wo ma-baad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.