sab dekhne wale unhen ghash khae hue hain
sab dekhne vaale unheñ ġhash khaa.e hue haiñ
is par bhī ta'ajjub hai vo sharmā.e hue haiñ
ai jān-e-jahāñ ham ko zamāne se ġharaz kyā
jab kho ke zamāne ko tujhe paa.e hue haiñ
hairān huuñ kyuuñ mujh ko dikhā.ī nahīñ dete
suntā huuñ mirī bazm meñ vo aa.e hue haiñ
nisbat kī ye nisbat hai sharaf kā ye sharaf hai
tere haiñ agar ham tire Thukrā.e hue haiñ
hai dekhne vāloñ ko sambhalne kā ishārā
thoḌī sī naqāb aaj vo sarkā.e hue haiñ
sab dekhne wale unhen ghash khae hue hain
is par bhi ta'ajjub hai wo sharmae hue hain
ai jaan-e-jahan hum ko zamane se gharaz kya
jab kho ke zamane ko tujhe pae hue hain
hairan hun kyun mujh ko dikhai nahin dete
sunta hun meri bazm mein wo aae hue hain
nisbat ki ye nisbat hai sharaf ka ye sharaf hai
tere hain agar hum tere Thukrae hue hain
hai dekhne walon ko sambhalne ka ishaara
thoDi si naqab aaj wo sarkae hue hain
- Book : urdu kii chunii hu.ii gazale.n (Pg. 58)
- Author : devendra issar
- Publication : sahityaa parkaashak maalbaara delhi (1963)
- Edition : 1963
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.