sari duniya hai ek parda-e-raaz
saarī duniyā hai ek parda-e-rāz
uf re tere hijāb ke andāz
maut ko ahl-e-dil samajhte haiñ
zindagāni-e-ishq kā āġhāz
mar ke paayā shahīd kā rutba
merī is zindagī kī umr darāz
koī aayā tirī jhalak dekhī
koī bolā sunī tirī āvāz
ham se kyā pūchhte ho ham kyā haiñ
ik bayābāñ meñ gum-shuda āvāz
tere anvār se labālab hai
dil kā sab se amiiq gosha-e-rāz
aa rahī hai sadā-e-hātif-e-ġhaib
'josh' hamta-e-hāfiz-e-shīrāz
sari duniya hai ek parda-e-raaz
uf re tere hijab ke andaz
maut ko ahl-e-dil samajhte hain
zindagani-e-ishq ka aaghaz
mar ke paya shahid ka rutba
meri is zindagi ki umr daraaz
koi aaya teri jhalak dekhi
koi bola suni teri aawaz
hum se kya puchhte ho hum kya hain
ek bayaban mein gum-shuda aawaz
tere anwar se labaalab hai
dil ka sab se amiq gosha-e-raaz
aa rahi hai sada-e-hatif-e-ghaib
'josh' hamta-e-hafiz-e-shiraaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.