sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya
sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā
dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā
lagtā thā be-karāñ mujhe sahrā meñ āsmāñ
pahuñchā jo bastiyoñ meñ to ḳhānoñ meñ baT gayā
yā itnā saḳht-jān ki talvār be-asar
yā itnā narm-dil ki rag-e-gul se kaT gayā
bāñhoñ meñ aa sakā na havelī kā ik sutūn
putlī meñ merī aañkh kī sahrā simaT gayā
ab kaun jaa.e ku-e-malāmat ko chhoḌ kar
qadmoñ se aa ke apnā hī saaya lipaT gayā
gumbad kā kyā qusūr use kyuuñ kaho burā
aayā jidhar se tair udhar hī palaT gayā
rakhtā hai ḳhud se kaun harīfāna kashmakash
maiñ thā ki raat apne muqābil hī DaT gayā
jis kī amaañ meñ huuñ vahī uktā gayā na ho
būñdeñ ye kyuuñ barastī haiñ bādal to chhaT gayā
vo lamha-e-shu.ūr jise jāñkanī kaheñ
chehre se zindagī ke naqābeñ ulaT gayā
Thokar se merā paañv to zaḳhmī huā zarūr
raste meñ jo khaḌā thā vo kohsār haT gayā
ik hashr sā bapā thā mire dil meñ ai 'shakeb'
kholīñ jo khiḌkiyāñ to zarā shor ghaT gayā
sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya
dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya
lagta tha be-karan mujhe sahra mein aasman
pahuncha jo bastiyon mein to KHanon mein baT gaya
ya itna saKHt-jaan ki talwar be-asar
ya itna narm-dil ki rag-e-gul se kaT gaya
banhon mein aa saka na haweli ka ek sutun
putli mein meri aankh ki sahra simaT gaya
ab kaun jae ku-e-malamat ko chhoD kar
qadmon se aa ke apna hi saya lipaT gaya
gumbad ka kya qusur use kyun kaho bura
aaya jidhar se tair udhar hi palaT gaya
rakhta hai KHud se kaun harifana kashmakash
main tha ki raat apne muqabil hi DaT gaya
jis ki aman mein hun wahi ukta gaya na ho
bunden ye kyun barasti hain baadal to chhaT gaya
wo lamha-e-shuur jise jaankani kahen
chehre se zindagi ke naqaben ulaT gaya
Thokar se mera panw to zaKHmi hua zarur
raste mein jo khaDa tha wo kohsar haT gaya
ek hashr sa bapa tha mere dil mein ai 'shakeb'
kholin jo khiDkiyan to zara shor ghaT gaya
- Book : Kulliyat-e-Shakiib Jalali (Pg. 138)
- Author : Mohd Nasir Khan
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.