ruh afsurda tabiat meri gham-kosh hui
ruuh afsurda tabī.at mirī ġham-kosh huī
zindagī apne hī mātam meñ siyah-posh huī
fikr-e-fardā huī yā fikr-e-ġham-e-dosh huī
terī yaad aa.ī ki har baat farāmosh huī
sohbat-e-shaiḳh huī sohbat-e-mai-nosh huī
josh meñ ruuh na phir aa.ī jo mad.hosh huī
zindagī un ke fasānoñ se bhī uktā sī ga.ī
jo thī sar-tā-ba-qadam gosh girāñ-gosh huī
jaane kyā mahfil-e-parvāna meñ dekhā us ne
phir zabāñ khul na sakī sham.a jo ḳhāmosh huī
ruh afsurda tabiat meri gham-kosh hui
zindagi apne hi matam mein siyah-posh hui
fikr-e-farda hui ya fikr-e-gham-e-dosh hui
teri yaad aai ki har baat faramosh hui
sohbat-e-shaiKH hui sohbat-e-mai-nosh hui
josh mein ruh na phir aai jo madhosh hui
zindagi un ke fasanon se bhi ukta si gai
jo thi sar-ta-ba-qadam gosh giran-gosh hui
jaane kya mahfil-e-parwana mein dekha us ne
phir zaban khul na saki shama jo KHamosh hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.