kaThin hai rahguzar thoDi dur sath chalo
kaThin hai rāhguzar thoḌī duur saath chalo
bahut kaḌā hai safar thoḌī duur saath chalo
tamām umr kahāñ koī saath detā hai
ye jāntā huuñ magar thoḌī duur saath chalo
nashe meñ chuur huuñ maiñ bhī tumheñ bhī hosh nahīñ
baḌā maza ho agar thoḌī duur saath chalo
ye ek shab kī mulāqāt bhī ġhanīmat hai
kise hai kal kī ḳhabar thoḌī duur saath chalo
abhī to jaag rahe haiñ charāġh rāhoñ ke
abhī hai duur sahar thoḌī duur saath chalo
tavāf-e-manzil-e-jānāñ hameñ bhī karnā hai
'farāz' tum bhī agar thoḌī duur saath chalo
kaThin hai rahguzar thoDi dur sath chalo
bahut kaDa hai safar thoDi dur sath chalo
tamam umr kahan koi sath deta hai
ye jaanta hun magar thoDi dur sath chalo
nashe mein chur hun main bhi tumhein bhi hosh nahin
baDa maza ho agar thoDi dur sath chalo
ye ek shab ki mulaqat bhi ghanimat hai
kise hai kal ki KHabar thoDi dur sath chalo
abhi to jag rahe hain charagh rahon ke
abhi hai dur sahar thoDi dur sath chalo
tawaf-e-manzil-e-jaanan hamein bhi karna hai
'faraaz' tum bhi agar thoDi dur sath chalo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.