hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
ham ko kis ke ġham ne maarā ye kahānī phir sahī
kis ne toḌā dil hamārā ye kahānī phir sahī
dil ke luTne kā sabab pūchho na sab ke sāmne
naam aa.egā tumhārā ye kahānī phir sahī
nafratoñ ke tiir khā kar dostoñ ke shahr meñ
ham ne kis kis ko pukārā ye kahānī phir sahī
kyā batā.eñ pyaar kī baazī vafā kī raah meñ
kaun jiitā kaun haarā ye kahānī phir sahī
hum ko kis ke gham ne mara ye kahani phir sahi
kis ne toDa dil hamara ye kahani phir sahi
dil ke luTne ka sabab puchho na sab ke samne
nam aaega tumhaara ye kahani phir sahi
nafraton ke tir kha kar doston ke shahr mein
hum ne kis kis ko pukara ye kahani phir sahi
kya bataen pyar ki bazi wafa ki rah mein
kaun jita kaun haara ye kahani phir sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.