ek umr se hum tum aashna hain
ik umr se ham tum āshnā haiñ
ham se mah o anjum āshnā haiñ
dil Dūbtā jā rahā hai paiham
lab haiñ ki tabassum āshnā haiñ
un manziloñ kā surāġh kam hai
jin manziloñ meñ gum āshnā haiñ
kuchh chāra-e-dard-e-āshnā.ī
kis soch meñ gum-sum āshnā haiñ
is daur meñ tishna-kām saaqī
ham jaise ka.ī ḳhum-āshnā haiñ
ek umr se hum tum aashna hain
hum se mah o anjum aashna hain
dil Dubta ja raha hai paiham
lab hain ki tabassum aashna hain
un manzilon ka suragh kam hai
jin manzilon mein gum aashna hain
kuchh chaara-e-dard-e-ashnai
kis soch mein gum-sum aashna hain
is daur mein tishna-kaam saqi
hum jaise kai KHum-ashna hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.