Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahar ka dhan aata jata asl KHazana ghar mein hai

Obaidullah Aleem

bahar ka dhan aata jata asl KHazana ghar mein hai

Obaidullah Aleem

MORE BYObaidullah Aleem

    bāhar dhan aatā jaatā asl ḳhazāna ghar meñ hai

    har dhuup meñ jo mujhe saayā de vo sachchā saayā ghar meñ hai

    pātāl ke dukh vo kyā jāneñ jo sat.h pe haiñ milne vaale

    haiñ ek havāla dost mire aur ek havāla ghar meñ hai

    mirī umr ke ik ik lamhe ko maiñ ne qaid kiyā hai lafzoñ meñ

    jo haarā huuñ jiitā huuñ vo sab sarmāya ghar meñ hai

    nanhā-munnā ek diyā maiñ ek samundar añdhiyārā

    jalte jalte bujhne lagā aur phir bhī añdherā ghar meñ hai

    kyā svāñg bhare roTī ke liye izzat ke liye shohrat ke liye

    suno shaam huī ab ghar ko chalo koī shaḳhs akelā ghar meñ hai

    ik hijr-zada bābul-pyārī tire jāgte bachchoñ se haarī

    ai shā'ir kis duniyā meñ hai tirī tanhā duniyā ghar meñ hai

    duniyā meñ khapā.e saal ka.ī āḳhir meñ khulā ahvāl yahī

    vo ghar ho bāhar har dukh mudāvā ghar meñ hai

    bahar ka dhan aata jata asl KHazana ghar mein hai

    har dhup mein jo mujhe saya de wo sachcha saya ghar mein hai

    patal ke dukh wo kya jaanen jo sath pe hain milne wale

    hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai

    meri umr ke ek ek lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein

    jo haara hun ya jita hun wo sab sarmaya ghar mein hai

    tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara

    tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai

    kya swang bhare roTi ke liye izzat ke liye shohrat ke liye

    suno sham hui ab ghar ko chalo koi shaKHs akela ghar mein hai

    ek hijr-zada babul-pyari tere jagte bachchon se haari

    ai sha'ir kis duniya mein hai tu teri tanha duniya ghar mein hai

    duniya mein khapae sal kai aaKHir mein khula ahwal yahi

    wo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudawa ghar mein hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem

    RECITATIONS

    Obaidullah Aleem

    Obaidullah Aleem,

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Obaidullah Aleem

    baahar ka dhan aata jaata, asl khazana ghar mein hai Obaidullah Aleem

    Fahad Husain

    bahar ka dhan aata jata asal KHazana ghar mein hai Fahad Husain

    Source :
    • Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 27)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now