raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
raqs karne kā milā hukm jo dariyāoñ meñ
ham ne ḳhush ho ke bhañvar bāñdh liye paañv meñ
un ko bhī hai kisī bhīge hue manzar kī talāsh
buuñd tak bhī na bo sake jo kabhī sahrāoñ meñ
a mire ham-safaro tum bhī thake-hāre ho
dhuup kī tum to milāvaT na karo chhāñv meñ
jo bhī aatā hai batātā hai nayā koī ilaaj
baT na jaa.e tirā bīmār masīhāoñ meñ
hausla kis meñ hai yūsuf kī ḳharīdārī kā
ab to mahñgā.ī ke charche haiñ zuleḳhāoñ meñ
jis barahman ne kahā hai ki ye saal achchhā hai
us ko dafnāo mire haath kī rekhāoñ meñ
vo ḳhudā hai kisī TuuTe hue dil meñ hogā
masjidoñ meñ use DhūñDo na kalīsāoñ meñ
ham ko aapas meñ mohabbat nahīñ karne dete
ik yahī aib hai is shahr ke dānāoñ meñ
mujh se karte haiñ 'qatīl' is liye kuchh log hasad
kyuuñ mire sher haiñ maqbūl hasīnāoñ meñ
raqs karne ka mila hukm jo dariyaon mein
hum ne KHush ho ke bhanwar bandh liye panw mein
un ko bhi hai kisi bhige hue manzar ki talash
bund tak bhi na bo sake jo kabhi sahraon mein
a mere ham-safaro tum bhi thake-haare ho
dhup ki tum to milawaT na karo chhanw mein
jo bhi aata hai batata hai naya koi ilaj
baT na jae tera bimar masihaon mein
hausla kis mein hai yusuf ki KHaridari ka
ab to mahngai ke charche hain zuleKHaon mein
jis barahman ne kaha hai ki ye sal achchha hai
us ko dafnao mere hath ki rekhaon mein
wo KHuda hai kisi TuTe hue dil mein hoga
masjidon mein use DhunDo na kalisaon mein
hum ko aapas mein mohabbat nahin karne dete
ek yahi aib hai is shahr ke danaon mein
mujh se karte hain 'qatil' is liye kuchh log hasad
kyun mere sher hain maqbul hasinaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.