ranj ki jab guftugu hone lagi
ranj kī jab guftugū hone lagī
aap se tum tum se tū hone lagī
chāhiye paiġhām-bar donoñ taraf
lutf kyā jab dū-ba-dū hone lagī
merī rusvā.ī kī naubat aa ga.ī
un kī shohrat kū-ba-kū hone lagī
hai tirī tasvīr kitnī be-hijāb
har kisī ke rū-ba-rū hone lagī
nā-umīdī baḌh ga.ī hai is qadar
aarzū kī aarzū hone lagī
ab ke mil kar dekhiye kyā rang ho
phir hamārī justujū hone lagī
'dāġh' itrā.e hue phirte haiñ aaj
shāyad un kī aabrū hone lagī
ranj ki jab guftugu hone lagi
aap se tum tum se tu hone lagi
chahiye paigham-bar donon taraf
lutf kya jab du-ba-du hone lagi
meri ruswai ki naubat aa gai
un ki shohrat ku-ba-ku hone lagi
hai teri taswir kitni be-hijab
har kisi ke ru-ba-ru hone lagi
na-umidi baDh gai hai is qadar
aarzu ki aarzu hone lagi
ab ke mil kar dekhiye kya rang ho
phir hamari justuju hone lagi
'dagh' itrae hue phirte hain aaj
shayad un ki aabru hone lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.