is shahr ke yahin kahin hone ka rang hai
is shahr ke yahīñ kahīñ hone kā rañg hai
is ḳhaak meñ kahīñ kahīñ sone kā rañg hai
pā.īñ chaman hai ḳhud-rav daraḳhtoñ kā jhunD sā
mehrāb-e-dar pe us ke na hone kā rañg hai
tūfān-e-abr-o-bād nihāñ sāhiloñ pe hai
dariyā kī ḳhāmushī meñ Dubone kā rañg hai
is ahd se vafā kā sila marg-e-rā.egāñ
us kī fazā meñ har ghaḌī khone kā rañg hai
hai sar-zamīn-e-shor ki ik chādar-e-safā
kaisā ajiib murda bichhaune kā rañg hai
surḳhī hai jo gulāb sī āñkhoñ meñ ai 'munīr'
ḳhār-e-bahār dil meñ chubhone kā rañg hai
is shahr ke yahin kahin hone ka rang hai
is KHak mein kahin kahin sone ka rang hai
pain chaman hai KHud-raw daraKHton ka jhunD sa
mehrab-e-dar pe us ke na hone ka rang hai
tufan-e-abr-o-baad nihan sahilon pe hai
dariya ki KHamushi mein Dubone ka rang hai
is ahd se wafa ka sila marg-e-raegan
us ki faza mein har ghaDi khone ka rang hai
hai sar-zamin-e-shor ki ek chadar-e-safa
kaisa ajib murda bichhaune ka rang hai
surKHi hai jo gulab si aankhon mein ai 'munir'
KHar-e-bahaar dil mein chubhone ka rang hai
- Book : 8 Gazal Go (Pg. 27)
- Author : javed Shaheen
- Publication : Maktaba Meri Library,Lahore (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.