Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

biTha rakkha hai darwaze pe kyon darban holi mein

Navak Lakhnavi

biTha rakkha hai darwaze pe kyon darban holi mein

Navak Lakhnavi

MORE BYNavak Lakhnavi

    biThā rakkhā hai darvāze pe kyoñ darbān holī meñ

    gale miltā hai har insān se insān holī meñ

    buḌhāpe meñ nazar aa.ī ḳhudā shaan holī meñ

    banī haiñ un se zaa.id un ammāñ jaan holī meñ

    hasīnoñ se bharā hai rang maidān holī meñ

    mirī rakhnā ab aabrū bhagvān holī meñ

    kisī ruḳh se koī āshiq nikal kar nahīñ saktā

    hasīnoñ ne lagā rakkhā hai chūhe-dān holī meñ

    abhī rangīn ḳhālī tan hai man bhī laal ho jaa.e

    tum apne haath se ham ko khilā do paan holī meñ

    ba-nām-e-rang chhū sakte haiñ sab ke gore gāloñ ko

    vahī mushkil jo kal tak thī vo hai āsān holī meñ

    sasur se saas se aur sāliyoñ ke baad sāloñ se

    gale mil kar nikāle jā.eñge armān holī meñ

    javānī meñ huī shādī buḌhāpe meñ huā bachcha

    juā khelā dīvālī meñ huā chālān holī meñ

    sab is sūrat se kheleñ rang 'nāvak' ek dil ho kar

    rahe phir mard aurat na kuchh pahchān holī meñ

    biTha rakkha hai darwaze pe kyon darban holi mein

    gale milta hai har insan se insan holi mein

    buDhape mein nazar aai KHuda ki shan holi mein

    bani hain un se zaid un ki amman jaan holi mein

    hasinon se bhara hai rang ka maidan holi mein

    meri rakhna tu hi ab aabru bhagwan holi mein

    kisi ruKH se koi aashiq nikal kar ja nahin sakta

    hasinon ne laga rakkha hai chuhe-dan holi mein

    abhi rangin KHali tan hai man bhi lal ho jae

    tum apne hath se hum ko khila do pan holi mein

    ba-nam-e-rang chhu sakte hain sab ke gore galon ko

    wahi mushkil jo kal tak thi wo hai aasan holi mein

    sasur se sas se aur saliyon ke baad salon se

    gale mil kar nikale jaenge arman holi mein

    jawani mein hui shadi buDhape mein hua bachcha

    jua khela diwali mein hua chaalan holi mein

    sab is surat se khelen rang 'nawak' ek dil ho kar

    rahe phir mard aurat ki na kuchh pahchan holi mein

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now