rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
rañg ḳhushbū aur mausam kā bahānā ho gayā
apnī hī tasvīr meñ chehra purānā ho gayā
shelf par rakkhī kitābeñ sochtī haiñ raat din
ghar se daftar kā safar kitnā suhānā ho gayā
kis qadar shohrat hai in hañste hue lamhāt meñ
aañkh se guzrā har ik manzar purānā ho gayā
ab mirī tanhā.ī bhī mujh se baġhāvat kar ga.ī
kal yahāñ jo kuchh huā thā sab fasānā ho gayā
yaad aatī jab kabhī ehsās kī nīlam-parī
ghar ke kaale dev kā qissa purānā ho gayā
rang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
shelf par rakkhi kitaben sochti hain raat din
ghar se daftar ka safar kitna suhana ho gaya
kis qadar shohrat hai in hanste hue lamhat mein
aankh se guzra har ek manzar purana ho gaya
ab meri tanhai bhi mujh se baghawat kar gai
kal yahan jo kuchh hua tha sab fasana ho gaya
yaad aati jab kabhi ehsas ki nilam-pari
ghar ke kale dew ka qissa purana ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.