sub.h ko hashr bhī hai kaT ga.ī gar aaj kī raat
de rahā hai mirā dil kal kī ḳhabar aaj kī raat
mere nāloñ meñ ġhazab kā hai asar aaj kī raat
log thāme hue baiThe haiñ jigar aaj kī raat
zabt maane hai ki vo shoḳh shikāyat na kare
be-sadā aah bhī hai misl-e-asar aaj kī raat
TuuTe paḌte haiñ falak se bhī sitāre paiham
chunñe baiThā hai jo afshāñ vo qamar aaj kī raat
zabt-e-nāla ne ye andher kiyā siine meñ
ban gayā ghuT ke dhuāñ soz-e-jigar aaj kī raat
subh ko hashr bhi hai kaT gai gar aaj ki raat
de raha hai mera dil kal ki KHabar aaj ki raat
mere nalon mein ghazab ka hai asar aaj ki raat
log thame hue baiThe hain jigar aaj ki raat
zabt mane hai ki wo shoKH shikayat na kare
be-sada aah bhi hai misl-e-asar aaj ki raat
TuTe paDte hain falak se bhi sitare paiham
chunne baiTha hai jo afshan wo qamar aaj ki raat
zabt-e-nala ne ye andher kiya sine mein
ban gaya ghuT ke dhuan soz-e-jigar aaj ki raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.