saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kaTe
sāġhar-o-jām ko chhalkāo ki kuchh raat kaTe
jaam ko jaam se Takrāo ki kuchh raat kaTe
khaa.e jaatī hai ye tanhā.ī ye tārīki-e-shab
do ghaḌī ke liye aa jaao ki kuchh raat kaTe
chup tumhārī mujhe dīvāna banā detī hai
aaj lillāh na sharmāo ki kuchh raat kaTe
haañ ye va.ada rahā ab phir nahīñ rokeñge kabhī
aaj kuchh der Thahar jaao ki kuchh raat kaTe
sāz-o-naġhma hī sahī haañ mai-o-mīnā hī sahī
sāqiyā jaam hī bhar laao ki kuchh raat kaTe
ai 'zakī' hijr kī rāteñ nahīñ kaaTe kaTtīñ
koī achchhī sī ġhazal gaao ki kuchh raat kaTe
saghar-o-jam ko chhalkao ki kuchh raat kaTe
jam ko jam se Takrao ki kuchh raat kaTe
khae jati hai ye tanhai ye tariki-e-shab
do ghaDi ke liye aa jao ki kuchh raat kaTe
chup tumhaari mujhe diwana bana deti hai
aaj lillah na sharmao ki kuchh raat kaTe
han ye wada raha ab phir nahin rokenge kabhi
aaj kuchh der Thahar jao ki kuchh raat kaTe
saz-o-naghma hi sahi han mai-o-mina hi sahi
saqiya jam hi bhar lao ki kuchh raat kaTe
ai 'zaki' hijr ki raaten nahin kaTe kaTtin
koi achchhi si ghazal gao ki kuchh raat kaTe
- Saaz-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.