faisla ho gaya hai raat gae
faisla ho gayā hai raat ga.e
lauTne vo gayā hai raat ga.e
vo sahar kā safīr thā shāyad
raushnī bo gayā hai raat ga.e
ishq tū bhī zarā Tikā le kamar
dil bhī ab so gayā hai raat ga.e
vaqt kāñTe na.e bichhā.egā
rāste dho gayā hai raat ga.e
chain paḌtā nahīñ 'na.īm' tujhe
jaane kyā kho gayā hai raat ga.e
faisla ho gaya hai raat gae
lauTne wo gaya hai raat gae
wo sahar ka safir tha shayad
raushni bo gaya hai raat gae
ishq tu bhi zara Tika le kamar
dil bhi ab so gaya hai raat gae
waqt kanTe nae bichhaega
raste dho gaya hai raat gae
chain paDta nahin 'naim' tujhe
jaane kya kho gaya hai raat gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.