raat paDe ghar jaana hai
raat paḌe ghar jaanā hai
sub.h talak mar jaanā hai
jaag ke pachhtānā hai bahut
sote meñ Dar jaanā hai
jaane se pahle ham ne
shor bahut kar jaanā hai
saare ḳhūn-ḳharābe ko
āñkhoñ meñ bhar jaanā hai
andhoñ ne bulvāyā hai
bhes badal kar jaanā hai
chhe nazmeñ jurmāna thā
ek ġhazal harjāna hai
laḌkī achchhī hai 'alvī'
naam us kā marjāna hai
raat paDe ghar jaana hai
subh talak mar jaana hai
jag ke pachhtana hai bahut
sote mein Dar jaana hai
jaane se pahle hum ne
shor bahut kar jaana hai
sare KHun-KHarabe ko
aankhon mein bhar jaana hai
andhon ne bulwaya hai
bhes badal kar jaana hai
chhe nazmen jurmana tha
ek ghazal harjaana hai
laDki achchhi hai 'alwi'
nam us ka marjaana hai
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 69)
- Author : Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.