raat aai hai balaon se rihai degi
raat aa.ī hai balāoñ se rihā.ī degī
ab na dīvār na zanjīr dikhā.ī degī
vaqt guzrā hai pa mausam nahīñ badlā yaaro
aisī gardish hai zamīñ ḳhud bhī duhā.ī degī
ye dhuñdlakā sā jo hai is ko ġhanīmat jaano
dekhnā phir koī sūrat na sujhā.ī degī
dil jo TūTegā to ik tarfa charāġhāñ hogā
kitne ā.īnoñ meñ vo shakl dikhā.ī degī
saath ke ghar meñ tirā shor bapā hai 'anvar'
koī aa.egā to dastak na sunā.ī degī
raat aai hai balaon se rihai degi
ab na diwar na zanjir dikhai degi
waqt guzra hai pa mausam nahin badla yaro
aisi gardish hai zamin KHud bhi duhai degi
ye dhundlaka sa jo hai is ko ghanimat jaano
dekhna phir koi surat na sujhai degi
dil jo TuTega to ek tarfa charaghan hoga
kitne aainon mein wo shakl dikhai degi
sath ke ghar mein tera shor bapa hai 'anwar'
koi aaega to dastak na sunai degi
- Book : Pakistani Adab (Pg. 368)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.