rasta koi safar koi masafat koi
rāsta koī safar koī masāfat koī
phir ḳharābī kī atā ho mujhe sūrat koī
saare dariyā haiñ yahāñ mauj meñ apnī apnī
mire sahrā ko nahīñ in se shikāyat koī
jam ga.ī dhuul mulāqāt ke ā.īnoñ par
mujh ko us kī na use merī zarūrat koī
maiñ ne duniyā ko sadā dil ke barābar samjhā
kaam aa.ī na buzurgoñ kī nasīhat koī
surma.ī shaam ke hamrāh parindoñ kī qatār
dekhne vāloñ kī āñkhoñ ko bashārat koī
bujhtī āñkhoñ ko kisī nuur ke dariyā kī talāsh
TūTtī saañs ko zanjīr zarūrat koī
tū ne har naḳhl meñ kuchh zauq-e-numū rakkhā hai
ai ḳhudā mere panapne kī alāmat koī
rasta koi safar koi masafat koi
phir KHarabi ki ata ho mujhe surat koi
sare dariya hain yahan mauj mein apni apni
mere sahra ko nahin in se shikayat koi
jam gai dhul mulaqat ke aainon par
mujh ko us ki na use meri zarurat koi
main ne duniya ko sada dil ke barabar samjha
kaam aai na buzurgon ki nasihat koi
surmai sham ke hamrah parindon ki qatar
dekhne walon ki aankhon ko bashaarat koi
bujhti aankhon ko kisi nur ke dariya ki talash
TuTti sans ko zanjir zarurat koi
tu ne har naKHl mein kuchh zauq-e-numu rakkha hai
ai KHuda mere panapne ki alamat koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.