rah-e-haq mein tujhe hasti ko miTana hoga
rāh-e-haq meñ tujhe hastī ko miTānā hogā
dekhnā phir tirī Thokar meñ zamāna hogā
rone vaale tujhe hañste hue phūloñ kī tarah
saarī duniyā ko hunar apnā dikhānā hogā
be-vafā ho ke bhī tū itnī muqaddas kyuuñ hai
zindagī aaj tujhe raaz batānā hogā
vaqt-e-ruḳhsat yahī kahtī thiiñ barastī āñkheñ
paas mere tujhe phir lauT ke aanā hogā
ek chiñgārī ta.assub kī nazar aa.ī hai
dekhnā ye hai kahāñ is kā nishāna hogā
apne maazī ke har ik ġham ko bhulā de varna
choT phir ubhregī phir dard purānā hogā
ḳhāmushī terī mirī jaan liye letī hai
apnī tasvīr se bāhar tujhe aanā hogā
zindagī meñ tujhe chalnā hai sambhal kar 'sāhil'
rāste meñ tire kam-zarf zamāna hogā
rah-e-haq mein tujhe hasti ko miTana hoga
dekhna phir teri Thokar mein zamana hoga
rone wale tujhe hanste hue phulon ki tarah
sari duniya ko hunar apna dikhana hoga
be-wafa ho ke bhi tu itni muqaddas kyun hai
zindagi aaj tujhe raaz batana hoga
waqt-e-ruKHsat yahi kahti thin barasti aankhen
pas mere tujhe phir lauT ke aana hoga
ek chingari tassub ki nazar aai hai
dekhna ye hai kahan is ka nishana hoga
apne mazi ke har ek gham ko bhula de warna
choT phir ubhregi phir dard purana hoga
KHamushi teri meri jaan liye leti hai
apni taswir se bahar tujhe aana hoga
zindagi mein tujhe chalna hai sambhal kar 'sahil'
raste mein tere kam-zarf zamana hoga
- Book : Kirdaar (Pg. 31)
- Author : Mohammed Ali Sahil
- Publication : Voice Publication (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.