qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke bich
qatl chhupte the kabhī sañg kī dīvār ke biich
ab to khulne lage maqtal bhare bāzār ke biich
apnī poshāk ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salāmat nahīñ rahte yahāñ dastār ke biich
surḳhiyāñ amn kī talqīn meñ masrūf rahīñ
harf bārūd ugalte rahe aḳhbār ke biich
kaash is ḳhvāb kī ta.abīr kī mohlat na mile
sho.ale ugte nazar aa.e mujhe gulzār ke biich
Dhalte sūraj kī tamāzat ne bikhar kar dekhā
sar-kashīda mirā saayā saf-e-ashjār ke biich
rizq malbūs makāñ saañs maraz qarz davā
munqasim ho gayā insāñ inhī afkār ke biich
dekhe jaate na the aañsū mire jis se 'mohsin'
aaj hañste hue dekhā use aġhyār ke biich
qatl chhupte the kabhi sang ki diwar ke bich
ab to khulne lage maqtal bhare bazar ke bich
apni poshak ke chhin jaane pe afsos na kar
sar salamat nahin rahte yahan dastar ke bich
surKHiyan amn ki talqin mein masruf rahin
harf barud ugalte rahe aKHbar ke bich
kash is KHwab ki tabir ki mohlat na mile
shoale ugte nazar aae mujhe gulzar ke bich
Dhalte suraj ki tamazat ne bikhar kar dekha
sar-kashida mera saya saf-e-ashjar ke bich
rizq malbus makan sans maraz qarz dawa
munqasim ho gaya insan inhi afkar ke bich
dekhe jate na the aansu mere jis se 'mohsin'
aaj hanste hue dekha use aghyar ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.