dhaDakta jata hai dil muskurane walon ka
dhaḌaktā jaatā hai dil muskurāne vāloñ kā
uThā nahīñ hai abhī e'tibār nāloñ kā
ye muḳhtasar sī hai rūdād-e-sub.h-e-mai-ḳhana
zamīñ pe Dher thā TuuTe hue piyāloñ kā
ye ḳhauf hai ki sabā laḌkhaḌā ke gir na paḌe
payām le ke chalī hai shikasta-hāloñ kā
na aa.eñ ahl-e-ḳhirad vādī-e-junūñ kī taraf
yahāñ guzar nahīñ dāman bachāne vāloñ kā
lipaT lipaT ke gale mil rahe the ḳhanjar se
baḌe ġhazab kā kaleja thā marne vāloñ kā
dhaDakta jata hai dil muskurane walon ka
uTha nahin hai abhi e'tibar nalon ka
ye muKHtasar si hai rudad-e-subh-e-mai-KHana
zamin pe Dher tha TuTe hue piyalon ka
ye KHauf hai ki saba laDkhaDa ke gir na paDe
payam le ke chali hai shikasta-haalon ka
na aaen ahl-e-KHirad wadi-e-junun ki taraf
yahan guzar nahin daman bachane walon ka
lipaT lipaT ke gale mil rahe the KHanjar se
baDe ghazab ka kaleja tha marne walon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.