qasr viran hua jata hai
qasr vīrān huā jaatā hai
dil pareshān huā jaatā hai
haram o dair ke jalvoñ kī qasam
kufr īmān huā jaatā hai
tāb-e-nazzāra ilāhī tauba
jalva hairān huā jaatā hai
naala āġhosh-e-asar tak aa kar
ḳhud pashemān huā jaatā hai
be-piye shaiḳh farishta thā magar
pī ke insān huā jaatā hai
dil hai āmāda-e-takmīl-e-nashāt
ġham kā sāmān huā jaatā hai
kuchh nahīñ hastī-e-parvāna magar
bazm kī jaan huā jaatā hai
allāh allāh ki unhīñ kā partav
un pe qurbān huā jaatā hai
har varaq sharh-e-mohabbat kā 'shakīl'
apnā dīvān huā jaatā hai
qasr viran hua jata hai
dil pareshan hua jata hai
haram o dair ke jalwon ki qasam
kufr iman hua jata hai
tab-e-nazzara ilahi tauba
jalwa hairan hua jata hai
nala aaghosh-e-asar tak aa kar
KHud pasheman hua jata hai
be-piye shaiKH farishta tha magar
pi ke insan hua jata hai
dil hai aamada-e-takmil-e-nashat
gham ka saman hua jata hai
kuchh nahin hasti-e-parwana magar
bazm ki jaan hua jata hai
allah allah ki unhin ka partaw
un pe qurban hua jata hai
har waraq sharh-e-mohabbat ka 'shakil'
apna diwan hua jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.