qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai
qasam in āñkhoñ kī jin se lahū Tapaktā hai
mire jigar meñ ik ātish-kada dahaktā hai
guzishta kāhish o andoh ke ḳhayāl Thahar
mire dimāġh meñ shola sā ik bhaḌaktā hai
kisī ke aish-e-tamannā kī dāstāñ na kaho
kaleja merī tamannāoñ kā dhaḌaktā hai
ilāj-e-'aḳhtar'-e-nā-kām kyuuñ nahīñ mumkin
agar vo jī nahīñ saktā to mar to saktā hai
qasam in aankhon ki jin se lahu Tapakta hai
mere jigar mein ek aatish-kada dahakta hai
guzishta kahish o andoh ke KHayal Thahar
mere dimagh mein shola sa ek bhaDakta hai
kisi ke aish-e-tamanna ki dastan na kaho
kaleja meri tamannaon ka dhaDakta hai
ilaj-e-'aKHtar'-e-na-kaam kyun nahin mumkin
agar wo ji nahin sakta to mar to sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.