pyas dariya ki nigahon se chhupa rakkhi hai
pyaas dariyā kī nigāhoñ se chhupā rakkhī hai
ek bādal se baḌī aas lagā rakkhī hai
terī āñkhoñ kī kashish kaise tujhe samjhā.ūñ
in charāġhoñ ne mirī niiñd uḌā rakkhī hai
kyuuñ na aa jaa.e mahakne kā hunar lafzoñ ko
terī chiTThī jo kitāboñ meñ chhupā rakkhī hai
terī bātoñ ko chhupānā nahīñ aatā mujh se
tū ne ḳhushbū mire lahje meñ basā rakkhī hai
ḳhud ko tanhā na samajh lenā na.e dīvānoñ
ḳhaak sahrāoñ kī ham ne bhī uḌā rakkhī hai
pyas dariya ki nigahon se chhupa rakkhi hai
ek baadal se baDi aas laga rakkhi hai
teri aankhon ki kashish kaise tujhe samjhaun
in charaghon ne meri nind uDa rakkhi hai
kyun na aa jae mahakne ka hunar lafzon ko
teri chiTThi jo kitabon mein chhupa rakkhi hai
teri baaton ko chhupana nahin aata mujh se
tu ne KHushbu mere lahje mein basa rakkhi hai
KHud ko tanha na samajh lena nae diwanon
KHak sahraon ki hum ne bhi uDa rakkhi hai
- Book : Rat jage (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.