puchhi taqsir to bole koi taqsir nahin
pūchhī taqsīr to bole koī taqsīr nahīñ
haath joḌe to kahā ye koī ta.azīr nahīñ
ham bhī dīvāne haiñ vahshat meñ nikal jā.eñge
najd ik dasht hai kuchh qais kī jāgīr nahīñ
ik tirī baat ki jis baat kī tardīd muhāl
ik mirā ḳhvāb ki jis ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ
kahīñ aisā na ho kam-baḳht meñ jaan aa jaa.e
is liye haath meñ lete mirī tasvīr nahīñ
puchhi taqsir to bole koi taqsir nahin
hath joDe to kaha ye koi tazir nahin
hum bhi diwane hain wahshat mein nikal jaenge
najd ek dasht hai kuchh qais ki jagir nahin
ek teri baat ki jis baat ki tardid muhaal
ek mera KHwab ki jis KHwab ki tabir nahin
kahin aisa na ho kam-baKHt mein jaan aa jae
is liye hath mein lete meri taswir nahin
- Book : intekhaab-e-kalaam (Pg. 21)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.