puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara
pūchhegā jo vo rashk-e-qamar haal hamārā
ai 'mehr' chamak jā.egā iqbāl hamārā
saude meñ tirī zulf ke likhte haiñ jo ash.ār
hotā hai siyah nāma-e-a.amāl hamārā
abrū kā ishāra kiyā tum ne to huī iid
ai jaan yahī hai mah-e-shavval hamārā
har baar dikhātā hai junūñ ḳhāna-e-zanjīr
is ghar meñ guzārā huā har saal hamārā
aate hī vo kahte haiñ ki jaate haiñ bas ab ham
be-chain haiñ mañgvā.iye sukh-pāl hamārā
mazmūñ na bañdhā mū-e-kamar kā to vo bole
TeḌhā na huā shā.iroñ se baal hamārā
mahtāb se kahtā hai mirā chāñd kā TukḌā
ruḳhsār tirā saaf hai yā gaal hamārā
tum arsh hilāte ho qadam rakh ke zamīñ par
is chaal se dil ho gayā pāmāl hamārā
ik pal bhī judā dīda-e-tar se nahīñ hotā
ab aañkh kā parda huā rūmāl hamārā
yaañ ruuh pe hotā hai us āvāz kā sadma
jī legā shab-e-vasl meñ ghaḌiyāl hamārā
yaañ ganj-e-ma.ānī hai to vaañ sīm-o-zar ai 'mehr'
daulat vo baḳhīloñ kī hai ye maal hamārā
puchhega jo wo rashk-e-qamar haal hamara
ai 'mehr' chamak jaega iqbaal hamara
saude mein teri zulf ke likhte hain jo ashaar
hota hai siyah nama-e-amal hamara
abru ka ishaara kiya tum ne to hui id
ai jaan yahi hai mah-e-shawwal hamara
har bar dikhata hai junun KHana-e-zanjir
is ghar mein guzara hua har sal hamara
aate hi wo kahte hain ki jate hain bas ab hum
be-chain hain mangwaiye sukh-pal hamara
mazmun na bandha mu-e-kamar ka to wo bole
TeDha na hua shairon se baal hamara
mahtab se kahta hai mera chand ka TukDa
ruKHsar tera saf hai ya gal hamara
tum arsh hilate ho qadam rakh ke zamin par
is chaal se dil ho gaya pamal hamara
ek pal bhi juda dida-e-tar se nahin hota
ab aankh ka parda hua rumal hamara
yan ruh pe hota hai us aawaz ka sadma
ji lega shab-e-wasl mein ghaDiyal hamara
yan ganj-e-maani hai to wan sim-o-zar ai 'mehr'
daulat wo baKHilon ki hai ye mal hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.