meri sari zindagi ko be-samar usne kiya
merī saarī zindagī ko be-samar us ne kiyā
umr merī thī magar us ko basar us ne kiyā
maiñ bahut kamzor thā is mulk meñ hijrat ke ba.ad
par mujhe is mulk meñ kamzor-tar us ne kiyā
rāhbar merā banā gumrāh karne ke liye
mujh ko sīdhe rāste se dar-ba-dar us ne kiyā
shahr meñ vo mo'atabar merī gavāhī se huā
phir mujhe is shahr meñ nā-mo'tabar us ne kiyā
shahr ko barbād kar ke rakh diyā us ne 'munīr'
shahr par ye zulm mere naam par us ne kiyā
meri sari zindagi ko be-samar us ne kiya
umr meri thi magar us ko basar us ne kiya
main bahut kamzor tha is mulk mein hijrat ke baad
par mujhe is mulk mein kamzor-tar us ne kiya
rahbar mera bana gumrah karne ke liye
mujh ko sidhe raste se dar-ba-dar us ne kiya
shahr mein wo mo'atabar meri gawahi se hua
phir mujhe is shahr mein na-mo'tabar us ne kiya
shahr ko barbaad kar ke rakh diya us ne 'munir'
shahr par ye zulm mere nam par us ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.