Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

koi ummid bar nahin aati

Shaukat Pardesi

koi ummid bar nahin aati

Shaukat Pardesi

MORE BYShaukat Pardesi

    Interesting Fact

    (With apologies to the soul of Mirza Ghalib)

    koī ummīd bar nahīñ aatī

    koī chhuTTī nazar nahīñ aatī

    halva milnā hai par nahīñ miltā

    chaa.e aanī hai par nahīñ aatī

    jo paḌosī ke ghar meñ aa.ī hai

    vo miThā.ī idhar nahīñ aatī

    duudh ghī gar nazar nahīñ aatā

    bhī us magar nahīñ aatī

    imtihāñ kyā qarīb hai yaaro

    niiñd kyoñ raat bhar nahīñ aatī

    Teacheroñ se najāt paane

    koī sūrat nazar nahīñ aatī

    ham ko murġhā banā ke kursī par

    sharm ai master nahīñ aatī

    roz paḌhnā bhī ik musībat hai

    chhuTTiyoñ ḳhabar nahīñ aatī

    saare teacher hoñ ḳhush sadā ham se

    is sūrat nazar nahīñ aatī

    bas riyāzī ko dekh kar chup huuñ

    varna kyā baat kar nahīñ aatī

    ḳhuub sote maze se ham lekin

    koī shab be-sahar nahīñ aatī

    koi ummid bar nahin aati

    koi chhuTTi nazar nahin aati

    halwa milna hai par nahin milta

    chae aani hai par nahin aati

    jo paDosi ke ghar mein aai hai

    wo miThai idhar nahin aati

    dudh ghi gar nazar nahin aata

    bu bhi us ki magar nahin aati

    imtihan kya qarib hai yaro

    nind kyon raat bhar nahin aati

    Teacheron se najat pane ki

    koi surat nazar nahin aati

    hum ko murgha bana ke kursi par

    sharm ai master nahin aati

    roz paDhna bhi ek musibat hai

    chhuTTiyon ki KHabar nahin aati

    sare teacher hon KHush sada hum se

    is ki surat nazar nahin aati

    bas riyazi ko dekh kar chup hun

    warna kya baat kar nahin aati

    KHub sote maze se hum lekin

    koi shab be-sahar nahin aati

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now