phul ne Tahni se uDne ki koshish ki
phuul ne Tahnī se uḌne kī koshish kī
ik taa.ir kā dil rakhne kī koshish kī
kal phir chāñd kā ḳhanjar ghoñp ke siine meñ
raat ne merī jaañ lene kī koshish kī
koī na koī rahbar rasta kaaT gayā
jab bhī apnī rah chalne kī koshish kī
kitnī lambī ḳhāmoshī se guzrā huuñ
un se kitnā kuchh kahne kī koshish kī
ek hī ḳhvāb ne saarī raat jagāyā hai
maiñ ne har karvaT sone kī koshish kī
ek sitāra jaldī jaldī Duub gayā
maiñ ne jab taare ginñe kī koshish kī
naam mirā thā aur pata apne ghar kā
us ne mujh ko ḳhat likhne kī koshish kī
ek dhueñ kā marġhola sā niklā hai
miTTī meñ jab dil bone kī koshish kī
phul ne Tahni se uDne ki koshish ki
ek tair ka dil rakhne ki koshish ki
kal phir chand ka KHanjar ghonp ke sine mein
raat ne meri jaan lene ki koshish ki
koi na koi rahbar rasta kaT gaya
jab bhi apni rah chalne ki koshish ki
kitni lambi KHamoshi se guzra hun
un se kitna kuchh kahne ki koshish ki
ek hi KHwab ne sari raat jagaya hai
main ne har karwaT sone ki koshish ki
ek sitara jaldi jaldi Dub gaya
main ne jab tare ginne ki koshish ki
nam mera tha aur pata apne ghar ka
us ne mujh ko KHat likhne ki koshish ki
ek dhuen ka marghola sa nikla hai
miTTi mein jab dil bone ki koshish ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.