phul khile hain likha hua hai toDo mat
phuul khile haiñ likhā huā hai toḌo mat
aur machal kar jī kahtā hai chhoḌo mat
rut matvālī chāñd nashīlā raat javān
ghar kā āmad-ḳharch yahāñ to joḌo mat
abr jhukā hai chāñd ke gore mukhḌe par
chhoḌo laaj lago dil se muñh moḌo mat
dil ko patthar kar dene vaalī yaado
ab apnā sar us patthar se phoḌo mat
mat 'amīq' kī āñkhoñ se dil meñ jhāñko
is gahre sāgar se naata joḌo mat
phul khile hain likha hua hai toDo mat
aur machal kar ji kahta hai chhoDo mat
rut matwali chand nashila raat jawan
ghar ka aamad-KHarch yahan to joDo mat
abr jhuka hai chand ke gore mukhDe par
chhoDo laj lago dil se munh moDo mat
dil ko patthar kar dene wali yaado
ab apna sar us patthar se phoDo mat
mat 'amiq' ki aankhon se dil mein jhanko
is gahre sagar se nata joDo mat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.