phir tum ruKH-e-zeba se naqab apne uTha do
phir tum ruḳh-e-zebā se naqāb apne uThā do
achchhā hai ki ā.īne ko ā.īna dikhā do
jab barq ke ehsāñ se bachānā hai ḳhudī ko
ḳhud apne hī nāloñ se nasheman ko jalā do
vo sāmne aate nahīñ achchhā to na aa.eñ
tum jazb-e-mohabbat se hijābāt uThā do
gul kar sakeñ jis ko na havāoñ ke thapeḌe
vo sham.a zamāne meñ mohabbat kī jalā do
tum ne to nazar pher lī bhar kar nafas-e-sard
lāzim thā ki bhaḌke hue shole ko havā do
zindāñ se nikalne kī ye tadbīr ġhalat hai
zanjīr ke TukḌe karo dīvār girā do
maiñ ye nahīñ kahtā ki bajā hī sahī lekin
'rif.at' pe bhī bejā koī ilzām lagā do
phir tum ruKH-e-zeba se naqab apne uTha do
achchha hai ki aaine ko aaina dikha do
jab barq ke ehsan se bachana hai KHudi ko
KHud apne hi nalon se nasheman ko jala do
wo samne aate nahin achchha to na aaen
tum jazb-e-mohabbat se hijabaat uTha do
gul kar saken jis ko na hawaon ke thapeDe
wo shama zamane mein mohabbat ki jala do
tum ne to nazar pher li bhar kar nafas-e-sard
lazim tha ki bhaDke hue shole ko hawa do
zindan se nikalne ki ye tadbir ghalat hai
zanjir ke TukDe karo diwar gira do
main ye nahin kahta ki baja hi sahi lekin
'rifat' pe bhi beja koi ilzam laga do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.