phir sun raha hun guzre zamane ki chap ko
phir sun rahā huuñ guzre zamāne kī chaap ko
bhūlā huā thā der se maiñ apne-āp ko
rahte haiñ kuchh malūl se chehre paḌos meñ
itnā na tez kījiye Dholak kī thaap ko
ashkoñ kī ek nahr thī jo ḳhushk ho ga.ī
kyūñkar miTā.ūñ dil se tire ġham kī chhāp ko
kitnā hī be-kanār samundar ho phir bhī dost
rahtā hai be-qarār nadī ke milāp ko
pahle to merī yaad se aa.ī hayā unheñ
phir aa.ine meñ chuum liyā apne-āp ko
tārīf kyā ho qāmat-e-dildār kī 'shakeb'
tajsīm kar diyā hai kisī ne alaap ko
phir sun raha hun guzre zamane ki chap ko
bhula hua tha der se main apne-ap ko
rahte hain kuchh malul se chehre paDos mein
itna na tez kijiye Dholak ki thap ko
ashkon ki ek nahr thi jo KHushk ho gai
kyunkar miTaun dil se tere gham ki chhap ko
kitna hi be-kanar samundar ho phir bhi dost
rahta hai be-qarar nadi ke milap ko
pahle to meri yaad se aai haya unhen
phir aaine mein chum liya apne-ap ko
tarif kya ho qamat-e-dildar ki 'shakeb'
tajsim kar diya hai kisi ne alap ko
- Book : Kulliyat Shakeb Jamali (Pg. 132)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.