Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phir is duniya se ummid-e-wafa hai

Naresh Kumar Shad

phir is duniya se ummid-e-wafa hai

Naresh Kumar Shad

MORE BYNaresh Kumar Shad

    phir is duniyā se ummīd-e-vafā hai

    tujhe ai zindagī kyā ho gayā hai

    baḌī zālim nihāyat bevafā hai

    ye duniyā phir bhī kitnī ḳhushnumā hai

    koī dekhe to bazm-e-zindagī meñ

    ujāloñ ne añdherā kar diyā hai

    ḳhudā se log bhī ḳhā.if kabhī the

    magar logoñ se ab ḳhā.if ḳhudā hai

    maze pūchho kuchh us se zindagī ke

    havādis meñ jise jiinā paḌā hai

    mire pahlū meñ dil hai to yaqīnan

    azal se magar TuuTā huā hai

    zabān-o-fan se maiñ vāqif nahīñ huuñ

    magar vijdān merā rahnumā hai

    mire naqqād merī shā.irī to

    mire TuuTe hue dil sadā hai

    kahāñ huuñ 'shād' maiñ to shaad huuñ

    vo shād-e-ḳhush-navā to mar chukā hai

    phir is duniya se ummid-e-wafa hai

    tujhe ai zindagi kya ho gaya hai

    baDi zalim nihayat bewafa hai

    ye duniya phir bhi kitni KHushnuma hai

    koi dekhe to bazm-e-zindagi mein

    ujalon ne andhera kar diya hai

    KHuda se log bhi KHaif kabhi the

    magar logon se ab KHaif KHuda hai

    maze puchho kuchh us se zindagi ke

    hawadis mein jise jina paDa hai

    mere pahlu mein dil hai to yaqinan

    azal hi se magar TuTa hua hai

    zaban-o-fan se main waqif nahin hun

    magar wijdan mera rahnuma hai

    mere naqqad meri shairi to

    mere TuTe hue dil ki sada hai

    kahan hun 'shad' main to shad sa hun

    wo shad-e-KHush-nawa to mar chuka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now