zamin chhoD kar main kidhar jaunga
zamīñ chhoḌ kar maiñ kidhar jā.ūñgā
añdheroñ ke andar utar jā.ūñgā
mirī pattiyāñ saarī sūkhī huiiñ
na.e mausamoñ meñ bikhar jā.ūñgā
agar aa gayā aa.ina sāmne
to apne hī chehre se Dar jā.ūñgā
vo ik aañkh jo merī apnī bhī hai
na aa.ī nazar to kidhar jā.ūñgā
vo ik shaḳhs āvāz degā agar
maiñ ḳhālī saḌak par Thahar jā.ūñgā
palaT kar na paayā kisī ko agar
to apnī hī aahaT se Dar jā.ūñgā
tirī zaat meñ saañs lī hai sadā
tujhe chhoḌ kar maiñ kidhar jā.ūñgā
zamin chhoD kar main kidhar jaunga
andheron ke andar utar jaunga
meri pattiyan sari sukhi huin
nae mausamon mein bikhar jaunga
agar aa gaya aaina samne
to apne hi chehre se Dar jaunga
wo ek aankh jo meri apni bhi hai
na aai nazar to kidhar jaunga
wo ek shaKHs aawaz dega agar
main KHali saDak par Thahar jaunga
palaT kar na paya kisi ko agar
to apni hi aahaT se Dar jaunga
teri zat mein sans li hai sada
tujhe chhoD kar main kidhar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.