pata ab tak nahin badla hamara
patā ab tak nahīñ badlā hamārā
vahī ghar hai vahī qissa hamārā
vahī TuuTī huī kashtī hai apnī
vahī Thahrā huā dariyā hamārā
ye maqtal bhī hai aur kunj-e-amāñ bhī
ye dil ye be-nishāñ kamra hamārā
kisī jānib nahīñ khulte darīche
kahīñ jaatā nahīñ rasta hamārā
ham apnī dhuup meñ baiThe haiñ 'mushtāq'
hamāre saath hai saayā hamārā
pata ab tak nahin badla hamara
wahi ghar hai wahi qissa hamara
wahi TuTi hui kashti hai apni
wahi Thahra hua dariya hamara
ye maqtal bhi hai aur kunj-e-aman bhi
ye dil ye be-nishan kamra hamara
kisi jaanib nahin khulte dariche
kahin jata nahin rasta hamara
hum apni dhup mein baiThe hain 'mushtaq'
hamare sath hai saya hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.