past-o-buland mein jo tujhe rishta chahiye
past-o-buland meñ jo tujhe rishta chāhiye
milne ko tujh se chhat pe mujhe ziina chāhiye
ye kaun aa gayā hai mire us ke darmiyāñ
dīvār hai to us meñ mujhe raḳhna chāhiye
ta.amīr ke liye mujhe darkār ek umr
taḳhrīb ke liye mujhe ik lamha chāhiye
yāroñ ne merī raah meñ dīvār khīñch kar
mash.hūr kar diyā ki mujhe saaya chāhiye
milne kā ab nahīñ jo kisī bhī dukān meñ
hindostān kā mujhe vo naqsha chāhiye
past-o-buland mein jo tujhe rishta chahiye
milne ko tujh se chhat pe mujhe zina chahiye
ye kaun aa gaya hai mere us ke darmiyan
diwar hai to us mein mujhe raKHna chahiye
tamir ke liye mujhe darkar ek umr
taKHrib ke liye mujhe ek lamha chahiye
yaron ne meri rah mein diwar khinch kar
mashhur kar diya ki mujhe saya chahiye
milne ka ab nahin jo kisi bhi dukan mein
hindostan ka mujhe wo naqsha chahiye
- Book : Kulliyat-e-Rahi (Pg. 389)
- Author : Ghulam Murtaza Rahi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.