paikar-e-aql tere hosh Thikane lag jaen
paikar-e-aql tire hosh Thikāne lag jaa.eñ
tere pīchhe bhī jo ham jaise divāne lag jaa.eñ
us kā mansūba ye lagtā hai galī meñ us kī
ham yūñhī ḳhaak uḌāne meñ Thikāne lag jaa.eñ
soch kis kaam kī rah jā.egī terī ye bahār
apne andar hī agar ham tujhe paane lag jaa.eñ
sab ke jaisī na banā zulf ki ham sāda-nigāh
tere dhoke meñ kisī aur ke shāne lag jaa.eñ
raat bhar rotā huuñ itnā ki ajab kyā is meñ
Dher phūloñ ke agar mere sirhāne lag jaa.eñ
dasht karnā hai hameñ shahr ke ik goshe ko
to chalo kaam pe ham saare divāne lag jaa.eñ
'farhat' ehsās ab aisā bhī ik āhang ki log
sun ke ash'ār tire nāchne gaane lag jaa.eñ
paikar-e-aql tere hosh Thikane lag jaen
tere pichhe bhi jo hum jaise diwane lag jaen
us ka mansuba ye lagta hai gali mein us ki
hum yunhi KHak uDane mein Thikane lag jaen
soch kis kaam ki rah jaegi teri ye bahaar
apne andar hi agar hum tujhe pane lag jaen
sab ke jaisi na bana zulf ki hum sada-nigah
tere dhoke mein kisi aur ke shane lag jaen
raat bhar rota hun itna ki ajab kya is mein
Dher phulon ke agar mere sirhane lag jaen
dasht karna hai hamein shahr ke ek goshe ko
to chalo kaam pe hum sare diwane lag jaen
'farhat' ehsas ab aisa bhi ek aahang ki log
sun ke ash'ar tere nachne gane lag jaen
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 71)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.