pahnae-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar
pahnā.e-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar
dekhūñ kabhī maujūd o mayassar se nikal kar
aa.e koī tūfān guzar jaa.e koī sail
ik shola-e-be-tāb huuñ patthar se nikal kar
āñkhoñ meñ damak uTThī hai tasvīr-e-dar-o-bām
ye kaun gayā mere barābar se nikal kar
tā-der rahā zā.iqa-e-marg laboñ par
ik niiñd ke TuuTe hue manzar se nikal kar
har rañg meñ isbāt-e-safar chāhiye 'sarvat'
miTTī pe dharo paañv samundar se nikal kar
pahnae-bar-o-bahr ke mahshar se nikal kar
dekhun kabhi maujud o mayassar se nikal kar
aae koi tufan guzar jae koi sail
ek shola-e-be-tab hun patthar se nikal kar
aankhon mein damak uTThi hai taswir-e-dar-o-baam
ye kaun gaya mere barabar se nikal kar
ta-der raha zaiqa-e-marg labon par
ek nind ke TuTe hue manzar se nikal kar
har rang mein isbaat-e-safar chahiye 'sarwat'
miTTi pe dharo panw samundar se nikal kar
- Book : meyaar (Pg. 304)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.