pahle ek shaKHs meri zat bana
pahle ik shaḳhs merī zaat banā
aur phir puurī kā.enāt banā
husn ne ḳhud kahā musavvir se
paañv par mere koī haath banā
pyaas kī saltanat nahīñ miTtī
laakh dajle banā furāt banā
ġham kā sūraj vo de gayā tujh ko
chāhe ab din banā ki raat banā
sher ik mashġhala thā 'qāsir' kā
ab yahī maqsad-e-hayāt banā
pahle ek shaKHs meri zat bana
aur phir puri kaenat bana
husn ne KHud kaha musawwir se
panw par mere koi hath bana
pyas ki saltanat nahin miTti
lakh dajle bana furaat bana
gham ka suraj wo de gaya tujh ko
chahe ab din bana ki raat bana
sher ek mashghala tha 'qasir' ka
ab yahi maqsad-e-hayat bana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.