Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paDe the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue

Akhtar Shumar

paDe the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue

Akhtar Shumar

MORE BYAkhtar Shumar

    paḌe the ham bhī jahāñ raushnī meñ bikhre hue

    ka.ī sitāre mile us galī meñ bikhre hue

    mirī kahānī se pahle jaan le pyāre

    ki hādse haiñ mirī zindagī meñ bikhre hue

    dhanak aañkh kahe bāñsurī lai meñ mujhe

    sitāre DhūñD ke naġhmagī meñ bikhre hue

    maiñ pur-sukūn rahūñ jhiil tarah yaanī

    kisī ḳhayāl kisī ḳhāmushī meñ bikhre hue

    vo muskurā ke koī baat kar rahā thā 'shumār'

    aur us ke lafz bhī the chāñdnī meñ bikhre hue

    paDe the hum bhi jahan raushni mein bikhre hue

    kai sitare mile us gali mein bikhre hue

    meri kahani se pahle hi jaan le pyare

    ki hadse hain meri zindagi mein bikhre hue

    dhanak si aankh kahe bansuri ki lai mein mujhe

    sitare DhunD ke la naghmagi mein bikhre hue

    main pur-sukun rahun jhil ki tarah yani

    kisi KHayal kisi KHamushi mein bikhre hue

    wo muskura ke koi baat kar raha tha 'shumar'

    aur us ke lafz bhi the chandni mein bikhre hue

    Source :
    • Book : hamen terii tamnnaa hai (Pg. 84)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now