Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

Ahmad Mushtaq

pani mein aks aur kisi aasman ka hai

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    paanī meñ aks aur kisī āsmāñ hai

    ye naav kaun hai ye dariyā kahāñ hai

    dīvār par khile haiñ na.e mausamoñ ke phuul

    saaya zamīn par kisī pichhle makāñ hai

    chāroñ taraf haiñ sabz salāḳheñ bahār

    jin meñ ghirā huā koī mausam ḳhizāñ hai

    sab kuchh badal gayā hai tah-e-āsmāñ magar

    bādal vahī haiñ rañg vahī āsmāñ hai

    dil meñ ḳhayāl-e-shahr-e-tamannā thā jis jagah

    vaañ ab malāl ik safar-e-rā.egāñ hai

    pani mein aks aur kisi aasman ka hai

    ye naw kaun si hai ye dariya kahan ka hai

    diwar par khile hain nae mausamon ke phul

    saya zamin par kisi pichhle makan ka hai

    chaaron taraf hain sabz salaKHen bahaar ki

    jin mein ghira hua koi mausam KHizan ka hai

    sab kuchh badal gaya hai tah-e-asman magar

    baadal wahi hain rang wahi aasman ka hai

    dil mein KHayal-e-shahr-e-tamanna tha jis jagah

    wan ab malal ek safar-e-raegan ka hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now