KHwab sarikha chhuTpan sawan pyaz ki roTi desi ghi
ḳhvāb sarīkhā chhuTpan sāvan pyaaz kī roTī desī ghī
ammā ke sil-baTTe vaalī dhaniye lahsan kī chaTnī
kachchī miTTī ke ghar jaise bachchoñ ko sahlāte the
gubrī vaale dālānoñ par choT kabhī na lagtī thī
das-bārah chhedoñ se paanī favāre sā paḌtā thā
ghar meñ TuuTī tillī vaalī ek purānī sī chhatrī
cycle thoḌī chaubīs inchī uuñT chalāyā karte the
vo bhī tiin charan meñ bhayyā qaiñchī DañDā phir gaddī
nekar vaalī umroñ tak ham ḳhaak samajhte the jūThan
tote ke katre amrūdoñ ko khāne kī hoḌ rahī
ghar kī khapḌailoñ ke andar Tap-Tap megh baraste the
ammā baabū Tāñkte rahte Tiin meñ sābun kī Tikkī
āñgan ke āġhosh meñ leTe shab-bhar naam bigāḌe the
tāroñ ko ishTār kahe the aur 'qamar' ko maamā jī
KHwab sarikha chhuTpan sawan pyaz ki roTi desi ghi
amma ke sil-baTTe wali dhaniye lahsan ki chaTni
kachchi miTTi ke ghar jaise bachchon ko sahlate the
gubri wale dalanon par choT kabhi na lagti thi
das-barah chhedon se pani faware sa paDta tha
ghar mein TuTi tilli wali ek purani si chhatri
cycle thoDi chaubis inchi unT chalaya karte the
wo bhi tin charan mein bhayya qainchi DanDa phir gaddi
nekar wali umron tak hum KHak samajhte the juThan
tote ke katre amrudon ko khane ki hoD rahi
ghar ki khapDailon ke andar Tap-Tap megh baraste the
amma babu Tankte rahte Tin mein sabun ki Tikki
aangan ke aaghosh mein leTe shab-bhar nam bigaDe the
taron ko ishTar kahe the aur 'qamar' ko mama ji
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.